Friday, May 1, 2009

Ek Zamaane mein mere yaar


Ek zamaane mein Jab gaadi nahi thi,
Tab hum cycle se jaaya karte the
Us zamaane mein hum, 
email ke bajaaye chitthiyaan likha karte the

Jab hum "How do you do" ke bajaaye
"Kya haal hain janaab" poocha karte the
Aur Brb ke bajaaye
Fir Milte hain kaha karte the

Tab hum jab phudine wali chai piya karte the
fir saath biscut bhi liya karte the
Aaj hum coffee peene jaate hain
Aur non-fat Latte farmaate hain

Jab raat ko bhojan mein hum roti aur saag khate the
Fir us baad ek gilaas lassi bhi liya karte the
Aaj koi sehat ka thikaana toh nahi khair
Fir bhi hum Subway jaakar sandwich khaya karte hain

Ek zamaane mein jab daftar ke baad
Ek dost se milne jaaya karte the
Aaj outlook ke calendar pe meeting request bhejkar bhi
Meeting ke liye kabhi late hua karte hain

Jab telegram dwara, Pranam Ma Babuji likha karte the
Aaj phone pe, whatsup mom dad chillayaa karte hain

Ek zamaane mein, jab vaqt ki raftaar ko hum 
Apne kadmo tale roka karte the
Aaj woh zaalim ghadi cell phone tak pohoch gayi hain
Aaj woh saare din computer screen pe
Tick tick kar, bheje mein ek makdi ki tarah
Aakhon se woh dil mein utar gayi hai

Dil ki dhadkan tej ho jaati
Jab "Oh No, its time for a meeting"
kehne ki naubat aati hai

Yaar yeh kaisa zamaana hain 
Naa lete hain saansein, naa hai kahin pyaar
Sukoon se zindagi jiya karte the hum 
Bahot pehle, ek zamaane mein mere yaar

1 comment:

  1. nice said Kinnary.. all your posts are amazing and def you write much faster than i can read. one day hopefully i can catch up :-) keep it coming!!

    oh btw this is my fav ;-)
    http://kinnaryjangla.blogspot.com/2009/04/he-was-jerk.html

    ReplyDelete