Tuesday, March 17, 2009

-> Hindi Lekh

Zindagi mein aise bahot se pal
Jab dil ko choo jaate hain
aakhon ki surkhiyon ko lekar
Kuch lamhe fir yuhin teher jaatein hain

Kuch pal ik meethi si yaad bankar beh jaatein
Kuch pal ek meethi si yaad ban kar reh jaatein 
Ek toofan ke badhne se, kuch zhoke ki tarah mud jaatein 
Chahte hue, bhi hum unhe jee nahi paate

Ratti Ratti se jab ek kahani judti hain
Ek patte ki daali ki tarah zhukkar
Ek kitaab mein band ek akshar ki tarah mitkar

Ek puraane se kore kaagaz ko Saath na nibhaane ka gila kar
Ek shamaa ki tarah bujkar, ek shikwa bhi naa kar sake jab koi
Ek asson ki tarah beh kar, jab ro bhi na sake koi
Us mite hue naam ki tarah
Benaam ho jaati hai.

Woh kahani joh nahi de paati apne saagar ko anjaam
Fir yuhin ruk ruk kar, gir pad kar, woh naadan
Har pal apni kismat pe akhiyon ko meechkar
Leti hai sun, us rukh ka paigam

Na tu kabhi thi, na tu hai
Na kabhi bani thi, na kabhi banegi
Ek kitaab mein likhi hone se, gar taqdeer haqeeqat ho jaaye
Inshaa Allah, har koi apni zindagi par fateh na paa jaaye !

No comments:

Post a Comment