Tuesday, April 14, 2009

Arz hai....


 
Huzoor ne daad naa di toh kya
Fir bhi arz hai...
Aap ko lubhaana
Toh aaj kal humaara farz hai...
 
Toh Aap par Arz hai.....
 
Roz roz yun elevator mein aya na karo
Fir paanchve maale pe yun darwaaze se bahar jaaya na karo
Aap ko roz dekhna ek aisa karz hai
Ki Arz hai....
 
Is duniya ki khoobsurati pe chaar chaand lag jaayenge
Kabhi ruk gaye aap ek floor aur
Naa ruke toh bhi kya
Fir se chale jaane ke liye aaya karo
Ki is dil ke register mein woh floor number yun darj hai
Ki Arz hai....
 
Aapke office ke floor pe joh kitchen hai
Wahan roz roz aakar ek hi aarzoo karte hain hum
Aap kahin mil jaaye kabhi
Naa mile fir bhi, kya harj hai
Toh bus yuhin Arz hai....
 
Aap ko bhulana aaj kal raaton ko
Ho raha hai thoda sa mushkil zaroor
Kabhi mudkar sapne mein toh dekhiye is taraf
Bas ho na jaayiye is tarah magroor
Aap ko sochna toh ab humara farz hai
Toh bas yuhin keh diya humne.....
Aadab Arz hai....

No comments:

Post a Comment