Saturday, April 25, 2009
Ek din woh mitti
Ek din woh mitti
Jo tujhe pukaarti rehti hai
Tere intezaar mein yoon hi sookh jaayegi
Tere aane ki aas karte karte
sookh kar yuhin patthar ban jaayegi
Tu vapas jaaye na jaaye
Yeh pal, woh teri raah mein yuhin bitaa kar
Ek murjhaaye hue patte ki tarah
Ek jhoken mein simatkar
Us samundar ki aahat mein yuhin beh jaayegi
Soch mat paagal, mud kar dekh
har pal tera intezaar karti hui woh mitti
Teri rooh ko har din pukaarti hai
Aa, fir vapas aa.
Woh paraayi dharti teri nahi
Teri nahi woh paraayi hawa
Rupayye ke moh mein naa ja
Us behkaave mein aa gaya hai tu
Jis mitti ne tujhe sukoon diya
Usi ko jaane de raha tu
Aa is khusboo ko ek aur baar mehsoos kar
Teri dharti tujhe pukaare
Aa ek aur baar is maa ki taraf dekh
Yeh mat soch kis taraf jaayegi teri zindagi
Zindagi toh bas ek hi pal hai
Woh pal joh har samay tu dhoondta rehta hai
Aur woh pal sirf us dharti ki aaroh mein samaaya hua hai
Woh pal joh us mitti ki khushboo mein basa hua hai
Woh pal joh sirf tujhe wohi desh de sakta hai.
Wohi pal jo tu har pal dhoondhta rehta hai.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
excellent creation...Swades
ReplyDelete